Na shab ka hosh hai, na subah ka kuch pata
Hai gar ye ishq to meri kya khata
Mere lab pe bas tera hi naam hai
Is duniya se mujhe kya kaam hai
Hai chehra tera chaand, aankhein sitaare hain
Dil ki baazi mein sirf hum hi haare hain
Meri har baaton mein sirf tera zikr hai
Har lamha har pal bas teri fikr hai
Is ektarfa ishq mein mera hi dil roya hai
Tujhe kya pata maine kya kya khoya hai
Hoon akela main mujhe ghere khadi tanhaai hai
Meri kismat mein hi likhi kyun judaai hai?
Aasmaan mein likhi hai mere ishq ki daastan
Sochta hoon padh loon use bhar ke ek udaan
Hai ye mera ishq mujhe is par yakeen hai
Yehi mera aasmaan yehi meri zameen hai
Tags:
Sign In
to know Author
- FAROOQ JAMAL
Comments (5 so far )
Author
Thanks a lot both :) :) :')
And harsh these words mean a lot to me :')
And harsh these words mean a lot to me :')
October 1st, 2014
Farooqji, i have apreciated ur article just bcoz u deserve it and its really heart touching..Once again i want to tell u that all words used by u are really very true...
Keep writing this type of articles...may god bless u..:-)
Keep writing this type of articles...may god bless u..:-)
October 2nd, 2014
Author
Shukriya Shukriya :)
October 3rd, 2014
Ek tarfa ishq ka itna achi tarah likha hai ki ek ek lavs aankho se ek ek aansu ko barasne ke liye majbur kar deta hai...
Bhaut khub farroq ji..