ghum sa ho gaya hu mein, mein kaun hu, ye puchta hu mein apne aap ko, aur jawab mai kuch nahi, bas hota hai sannatta … jab sheshe mai khud ko dekhta hu to pahchan nahi pata, aisa lagta hai koi aur hi khada hai mere samne … aur jo hamesha hua karta tha wahan, wo kahin kho sa gaya hai, iss bheed mai, in ujalon mai, roshni ki chamak mai … kho sa gaya hu mein … bhul sa gaya hu khudko … aur aaj mein aiene ke samne khada sawal karta apne app se, ki kon hu mein … mein to nahi tha aisa … mein to nahi karta tha ye … mein to nahi karta tha wo … ab to aisa lagta hai jesse wo insaan jo mein hua karta tha, wo mar gaya … aur koi aur hi mere bhesh mai khata hai mere samne … dar lagta hai apne aap se ab to, aur … yakin nahi hota ki waqt kya se kya kar deta hai … mein kaun hu … mein to aissa nahi tha …

As a person,

i loved the old me …

i hate what i am today …

Sign In to know Author