Mein aur Woh
Woh: Hum kitni baar ik he topic per baat kerian gae.
Mein: Tumhaye baat kerni hai mughie naae.
Woh: Aakhir yeh sub kahtam nae hosaktah.
Mein: yahi chahtee hun k yeh kahtam hoo.
Woh: Mera matlab larayi se tha.
Mein: Aur mera iss sub se.
Woh: Tum hamesha rishtah tornay ki baat q kerti hoo?
Mein: Koi rishtah naae hai, yeh srif zabardasti hai.
Woh: kya wakayi?
Mein: Haan.
Woh: Kab sey?
Mein: Pehlay din se.
Woh: Kaha kyun naae.
Mein: Baah-ray k samnay dhol bajaya nae jataa.
Woh: Kya yeh koi muqabla hai?
Mein: Haan.
Woh: tu tum jeet naae sakti.
Mein: Yeh kehl Fixed hai.
Woh: Dekhoo mein, hum rasta bhi nikaal saktay hain.
Mein: andray mein rastaa duhdaaaye nae jaatay.
Woh: Aur iker koi roshni baan jaaye.
Mein: Tu mein andray mein he rehna chahoon geen.
Woh: Yeh rishta jazabat ka nahi sriff, yeh kaqaz per bhi hai.
Mein: Yeh srif kaqaz k do tokray hain, iss mein jazbatiyat kuch
naahi..
Woh: Kya tumharay liyeh yeh kehna itna aahsan hai…
Mein: Sach kehna itnaa he aahsan hotah hai..
Woh: Mein, baat srif itni hai k tum neh kabhi kohshis he naae ki..
Mein: kohshis wahaan hoti hai jahaan umeed hoti hai..
Woh: iker tum chahoo tu umeed abhi bhi baan sakti hai..
Mein: Zabardasti kohshis ya umeed zayada waqat saath naahi rehti..
Woh: Mein, iker hum maslaa haal nahi kerian gae tu hum hamesha yahi
rukhain rahay gae.
Mein: Raasta badaal bhi saktah hai.
Woh: Mein raasta badalna chahtaa naahi.
Mein: Aur mein chalna chahti naahi..
Woh: Iss zidd se do gher barbaad hongae..
Mein: Khushiyoon ko tu maar diyaaa gher ko bachaaa k kya karoon gae..
Woh: Naaaee(New) khushiyaaan banaye geen..
Mein: asie gher kabhi naae chaltay jo, kisi ko bachanay pe kahray
hoon.
Woh: Sahraaa bhi koi cheaz hoti hai..
Mein: Akahlay rehnaa b dokah naae dehta..
Woh: Iss zid se srif tumhaye nuksaan hoga.
Mein: Yeh tumharay kahayal hai..
Woh: Mein naahi jaoon gaa.
Mein: Aur mein naae maanoo geen.
Woh: Teek Hai.
Mein: Sahi….