Mein: Hello ajnabi…
Ajnabi: Hey!
Mein: Kahan hoti hoo tum.
Ajnabi: Project ka kam kerrai thi.. tum batoo..
Mein: Kooch naae yaar.. hey tumhara laptop acha hai kahaan say liya?
Ajnabi: Online buy kiya tha..
Mein: mughie bhi buy kernay hai..
Ajnabi: Apni range kay hisaab say buy kerloo..
Mein: Mere range kooch 80k hai..
Ajnabi: Iss mein tu bhot acha aah jaye gaa..
Mein: Haan mein apple(Laptop) lehnay ka soch rahi hun..
Ajnabi: Nahi apple naae aaye gaa umm sony ka bhot acha aahjaye gaa..
Mein: Yaar you don’t understand my husband only go for branded things.
Ajnabi: Sony bhi branded he hai…
Mein: Haan per apple ki baat alag hai..
Ajnabi: Tu range barhaa doo, by the way tum nay bataya naae tum
married hoo.
Mein: Tum nay kabhi poocha naaee..
Ajnabhi: Yeh batain batayi jaati hain, tum hindu tu ho naae kay pata
chal jaaye
Mein: Naa he pata chalay kisi ko tu acha hai!
Ajnabi: Kyun janaat achi naae hai kya?
Mein: Huh! Iker janaat hoti tu achi lagti..
Ajnabi: Phir kya hai?
Mein: Dozak say bhi bataaar hai..
Ajnabi: Lagta tu naae…
Mein: Shakal pe takleef kisi kisi ki nazar aahti hai..
Ajnabi: Huwa kya, bhot frustrated lag raae hoo..
Mein: Wohi jo hamesha hotah hai..
Ajnabi: Kya? zabardasti huwa jo huwa mein tu ma baap ki farmabardari
mein baarbaad hogayi.
Mein: haha! Haan tumhaye kaisay pata?
Ajnabi: Tum jaisay na-shukroon say mera aksar samnaa hota hai…
Mein: Tum pay beeti naae tumhaye pata naaee..
Ajnabi: Her kisi ki zindigi us k liyeh sub say ahem hoti hai…
Mein: Tu kya naae honi chahiyeh?
Ajnabi: Honi chahiyeh, per maslay ka iker haal na dhunda jaye tu
cheeknay ka haq naae..
Mein: Per meray saath jo kuch ghalat huwa us ka eehtaa-jaj bhi naae
kersakti kya?
Ajnabi: Kersakti hooo, zaroor karoo lekin kab tak karoon geen…
Mein: Jab tak zinda hun..
Ajnabi: Aah yeh ki bewakoofi ki baat, shor srif tab tak sunnah jata
hai jab tak us ki addat naae hoti…
Mein: Tu kya kiya jaaye..
Ajnabi: Kohshis..
Mein: Nae kernaa chahtee…
Ajnabi: karoon gee naae pata nae chalay gaa..
Mein: Woh pasand naae mughie..
Ajnabi: Tu pasand karoon
Mein: Kaisay, woh khuwab nae hai mera..
Ajnabi: khuwab ko khuwab ki tarhaan liya karoon haqeeqat mein milaoo
gee tu yahaan jeena muskill hai..
Mein: Per us kay saath rehna muskil hai..
Ajnabi: Kya woh chahta hai?
Mein: Haan.
Ajnabi: Kitna
Mein: Bhot
Ajnabi: Kya tumharay khuwab mein bhot tha?
Mein: Haaan thaa..
Ajnabi: Phir kya maslaa hai..
Mein: Yeh haqeeqat khofnaq hai..
Ajnabi: Tu tumhaye kisnay ka hai kay, haqeeqat ik khusbu hai?..
Mein: Per kaassh..
Ajnabi: Dekho mein, humein woh naae miltah jis ki hum khuwaish kertay
hain per haan ussay behtar zaroor miltah hai..
Mein: Per
Ajnabi: Tum kohshis naae kerrai…
Mein: Per kerna bhi naae chahti..
Ajnabi: Yeh zidd barbaad kerday gii tumhaye..
Mein: Aur kitna hoon geen..
Ajnabi: Yeh barbaadi naae iker tum srif kohshish karoo.
Mein: Kohshish! Kohshish! Koshish! Kya karoon kohshish kaa? Mein naae
kerna chahtee..
Ajnabi: Acha jazbati maat hoo.. Her maslay ka haal hota hai..
Mein: Iss ka koi hal naae.
Ajnabi: asie kya chalah gaya hai jo tum itni dil bardashtah hogaaee..
Mein: Azaadi
Ajnabi: Aur tumhaye lagta hai kay shaadi kernay say chali jati hai..
Mein: Haaan
Ajnabi: Kyun?
Mein: Kyun kay who mughie her cheaz say roktah hai us mein aur mughie
mein kooch bhi same naae..
Ajnabi: Jaisay kay..
Mein: Jaisay kay mughie raat kay 3 bajay long drive per janay ka shoq
hai.. subah k 6 sohna acha lagta hai..
Ajnabi: Kya tum nay kabhi us ko yeh sub bataya?
Mein: Naae.. batooon geen tu pabandi lagaye gaa, who larkiyoon say
baat nae kernay dehtah tu yeh kaisay kernay de gaa..
Ajnabi: tumnay kabhi bataya us ko yeh sub?
Mein: Naae
Ajnabi: Phir itnay daway kay saath kaisay keh sakti hoo..
Mein: Kyun kay mughie pata hai…
Ajnabi: Kya pata hai?
Mein: Who asie he hai..
Ajnabi: Yeh tumharaye dimage mein hai, tum nay kabhi bataya naae us ko
yeh sub, tu tum dawa kaisay kersakti hooo.. aur tum kin doston kay saath uti behti hoo jis per us neh mana kiyaa..
Mein: Jaisay mein azzad thi asie who bhi hain.. woh torii zayada hain
Ajnabi: Woh tumharaye liyeh acha sochta hai..
Mein: Aakhir tum us ki itni tarf-dari kyun kerrai hooo?
Ajnabi: mein srif sach dekhnay ki kohshish kerrai hun..
Mein: Mughie nae dekhnaa..
Ajnabi: Bhot pachtaoo gee..
Mein: Shayad yahi theek hogaa..
Ajnabi: Koi naae hogaa tumharay pass..
Mein: abhi bhi akli he hoon.
Ajnabi: Yeh tumhaye lagta hai… Ik baar kohshis ker kay dekhooo..
Mein: Kya hogaa..?
Ajnabi: Shayaad yeh khuwab wala hee hoo..
Mein: woh bhot khubsurat tha
Ajnabi: Khubsurti ka humsafar say koi taluq naae, khubsurti srif dil
ki hoti hai..
Mein: Bhot muskil hogaa..
Ajnabi: aahsaan tu kooch bhi naaee..
Mein: hmm teek hai sochoon geen..
Ajnabi: Gud
Mein: tumsay baat ker kay acha lagaa..
Ajnabi: Sub ko acha lagta hai!