The last poem of a girl....

aaj fir jahan jeetne ko dil chahata hai
ek nayi zindagi jeene ko dil karta hai
ek ladka hai manmana sa jo mohobatt kehta hai mujhe
uske sath har lamha gujarne ko dil karta hai
ek ladki hai jhalli si jo aasu pochti hai mere
uske kandhe pe sir rakh ke rone ko dil karte hai
ek aur ladka hai deewana sa
mere ishq ko ibadat banaya hai jisne
aaj uski duao ko apnane ko dil karta hai
ek ladki hai nadan si jo gum sunti hai mere
use aaj koi khushi sunane ko dil karta hai
ek aur ladka hai anjana sa
jiska shauk roothna hai mujhse
aaj phir ek bar use manane ko dil karta hai


jitne karz hai duao ke utni to saase bhi naseeb nhi hai
thodi bhi jaan bachi hoti to fir uth khade hote
par uthte bhi kiske liye ?
yaaro ek awaz hi de do shayad fir vo aag jal uthe
par ab tumhare yaad karne se kya hoga jab maut ne hume yaad kar lia
khushnasibi hai ye meri ki jin kandho pe sir rakh roti thi
aaj unhi pe mera janaza jaa raha hai.....
aaj fir jahan jeetne ko dil chahata hai
ek nayi zindagi jeene ko dil karta hai

Sign In to know Author