HUMARI CHHOTI CHHOTI KHUSHI KI KHATIR HUMARE MATA-PITA APNE KHUSHI,
KHWAHISHE, APNE ARMANO KO CHHOR DETE HAI,,

DIWALI ME MAA PURANI SAREE PAHANTI HAI AUR HUME NAYE KAPRE DILATI HAI,,

HUMARE PAPA KHUD KAAM PE PURE DIN BHUKHE RAH JAATE HAI LEKIN HUME BHARPET KHANA KHILATE HAI,,,

PAPA KAHTE HAI NAHI NAI KAMIJ NAHI LENI HAI BACHHON KI PADHAI ME KAMI NAHI HONI CHAHIYE,,,,,

AUR JAB HUM SLATTED HO JATE HAI, ADULT HO JATE HAI,

IS LAYAK BAN JATE HAI KI APNE FAISLE KHUD LE SAKTE HAI TO .....

KYUN HUM US BIDHATA KO US KHUSHI KI KHATIR CHHORNE TAK KO TAIYAR HO JATE HAI JISNE HUME YE EHSAS DILAYA KI JINDGI KYA HAI,,,

KYUN HUM UNKI KHATIR USKO NAHI CHHOR SAKTE JO HUMARE JIWAN ME KUCHH PAL -KUCHH LAMHE PAHLE AAYA HAI,,,,,

JAB KI HUMARE MATA-PITA HUMARE WAJOOD HAI ------

Sign In to know Author