Khwab hai ye
dekha tha kabhi
lafzon me bayan kar rahi hun
ek masoom si kali ki kahaani :-
Khili thi ek pyaari kali,
ek sundar se baag me,
maali ki thi pyaari wo,
masoom thi,nazon se thi pali..
Sabki pyaari,chehekne waali,
hawa k sang lehrati wo
suraj ko bhi pyaar se pighlane waali..
Chanda mama se thi dosti usski
andhere se bhi na dare
masti k waqt sune na ahat bhi kisiki..
Saathi kaliyon ki jaan thi
ithlaati mehekti khil k phool bani
parr kisi baat se shayad bechain thi..
Rubaroo hona tha usse puri duniya se,
apne maali se,daali se chhuti,
ho kar anjaan iss buri duniya se...
Samajhi apni manjil kisi chaurahe ko,
mile dusre phool uss se,
aadat se majboor dost bana baithi sabko..
Chhal kapat se anjaan,khudi ko kho di
saare phool pehle pyar se gumraah kiye usse,
phir apni khusboo apni chehek luta aayi..
Gusse se siharti phool hamari
galati kar di do char
jo na kabhi ussne socha tha na hi sochi thi ye duniya saari..
Dhire dhire murjhane lagi..
saare saathi phool piche chhut gaye
phool se patthar si ban hi gayi..
Ab iss patthar ko na ithlaana aaye na lehrana
kisise koi lgaw nahi sirf nafrat
log ussko koste hain,parr na tha ye sab hamari phool ka sapna..
Ab hai ye sakht murjhayi si
kabhi jo thi nazuk si kali
yaad aaye usse wo baag har roz
parr hai maali bhi toh naraz
Komal phool ki chehek dekhi hai sabne
usski tadap,usski aah na suni kisine
kichad padi uss pe,apna rang bhi kho di wo
khone ko kuch bacha nahi,ab kuch na asar kare acha ho ya bura ho
Bhale hi alag ho gayi wo sabse,
kisi k liye uss k maaine na rahe
parr sikha hai ussne itna kuch
k ab murjha k jalne se bhi darr na lage hai usse.. !!