Manzil ki talaash me..
Rahon se mohobat ho jaati hai..
kabhi rimjhim baarish...
kabhi bundon ki chanchan...
kabhi dhoop toh kabhi vo chand ki
roshni...
Toh kabhi badalte hue mausam de jaate hai vo wajah..
Wajah jo junoon ban jati hai...
Junoon jo zid ban jaata hai...
Aur pane use phir chalte hain,
Hum inhi rahon par...
Anjaani hasi kabhi apna sa ehsas karati hai...
Gairo ki baatein bhi dil chu jaati hai..
Har thokar meetha dard deti hai..
nakamyabi se bhi aankh lad jaati hai..
Kyunki Manzil ki talaash aksar Rahon se mohobat ho jaati hai...
Rahon ke fasane hi dil behlate hai..
taalash karte hai jo sukoon manzil me...vo toh yeh rahen hi de jaati hai...
chalte,Girte,sambhlte..
bas badhte rehne ki aadat ho jaati hai..
Manzil ki taalash me aksar Inn rahon se mohobat ho jaati hai...
Comments (9 so far )
Though i was wondering what you meant...thanks for clearing :P