Aisa lagta hai ki wahan pahuch gaya hun main
jahan pahuchne k sapne dekhe the!
20 saal ki choti si umr me jo bhi pana tha
wo paa liya hai, aisa lagta hai mujhe!
To aaj yahan khada soch raha hun ki
sapna itna chota kyu dekha?
apne aap se aur tum se bhi, pooch raha hun main,
akhir itni jaldi kaise khatm ho gayi ye daud?
aur aaj aisa lagta hai ki sach hi tha
wo sher jo pehle kabhi samajh na paya!
par aaj samajh aa gayi hain wo linen, ki
'zindagi ki daud me; jab-jab rukta hun, tab-tab thakta hun'!
Kitne khush hain wo log, jo aaj me jeete hain
jo roz naye sapne bana lete hain!
Par main, wo manzil dhoond raha hun...
jise paane ko fir se bhaag sakun...
aur bhool jaun bhagte hue, apne sare sawal
sari pareshaniyan, aur wo bada sawal - khud zindagi!
wo bhagne wale joote jo utaar diye the kahin
fir pehen liye hain, nange paon chalne ki aadat jo nahi rahi!
aur aisa lagta hai ki jis din,
fir se bhagne ko tayyar ho jaunga main!
manzil khud hi samne aa jayegi..........
Comments (6 so far )
and btw a mere thank you wont suffice in a reply to the above comment! :) :) :)