Majboor tha dil aur aap bhi hairaan the
Meri khataaon se aap bhi pareshaan the
Hai vaasta mera ghamon se na jaane kyun
Ye aansoo har waqt mere dil ke mehmaan the
Kachche dhaage, kasme vaade, toot gaye sab bikhar gaye hain
Kaanch ke tukdon ki tarah
Mera dilbar, mera hamdard, chhod gaya mujhe bhool gaya wo
Bhooli bisri yaadon ki tarah
Aap hi meri pooja, aap hi azaan the
Majboor tha dil aur aap bhi hairaan the
Meri khataaon se aap bhi pareshaan the
Kyun ye gham hai, kyun maatam hai, phaila hua hai dil mein aise
Aag lagi ho jungle mein jaise
Dil jhootha hai, yaar rootha hai, vaade uske jaise mausam
Badle mausam dekho kaise kaise
Aap mera mazhab, aap hi jahaan the
Majboor tha dil aur aap bhi hairaan the
Meri khataaon se aap bhi pareshaan the
Hai vaasta mera ghamon se na jaane kyun
Ye aansoo har waqt mere dil ke mehmaan the
Majboor tha dil aur aap bhi hairaan the
Meri khataaon se aap bhi pareshaan the