Bas kuch likhne ka man kar rha hai aaj,
waqt bahoot kaaam, aur bhaaga sa ja rha hai,
do pal ruk kar, aaraam se,
raaton mein taaron ko dekh lun,
aisa dil karta hai aaj ...

aaj taaron se bhi mulakaat hogi ...

sab poochte hain, kyon,
aakir kyon kar rahe ho ye sab,
khush to bahoot hain,
par koi jawaab nahi hai mere paas,
bas sabko khush dekhna chaahta hun aaj ...

jab beete dino ko yaad karta hun,
jab koi galati yaad aati hai,
soochta hun, bas beet hi gaya wo waqt,
khair, achha hi hua,
bas aage ki taraf dekhna chaahta hun aaj ...

chalo likh diya ....

Sign In to know Author