main kiun sochta hun?
main kiya sochta hun?
soch hai kia?
or soch ki ibteda kis soch se hai?
kabhi sochta hun
to soch aik jahaan ban jata hai
kabhi soch aik veerana
jesay k qabiristaan
jesay k shamshaan ghaat
kabhi gulzaar
kabhi be-asaar
kabhi soch me doob jata hun
to apni kuch khabar nahi rehti
kabhi soch me doobta to
khud se mulaqaat bhe hojati hai
kabhi soch ayaaan bhe hoti hai
chehray pe
aansoo ki soorat me
labo pe muskurahat ki soorat me
gaaalo pe surkhi ki soorat me
kabhi chupi rehti hai
dooobi rehti hai
ghut'ti he rehti hai
cheekhti hai
azaad honay ko
aik bina pankh k parinday ki tarha
koe umeed nahi koe aas nahi
bus qaid rehti hai soch ,soch he reh kar
kiya soch azaad hai?
agar azaad hai
to main bhe azaad,
agr nahi to main bhe qaidi
aik sisikta huwa
aik tarapta huwa!!!