main agar likhna chor dun
to kiya hoga?
kiya sooraj wese he niklega?
kiya wese he sooraj doobay ga?
kiya chaand ko main ghanto phir bhe daikhuga?
kiya darya k kinaray ,darya se alag qatro me
wese he doob sakuga?
kiya aasman me panchiyo ka jhund
mere lafzo k jawab me
phir se lafz banaae gay?
kiya asmaan ka neelapan
saat rango me phir se hoga taqseem?

kiya bacho me main
khud ki masoomiyat
phir dhoond sakuga?

kiya boorhe ki charri me
khud ko sahara dete dekh sakuga?
kiya registaaano me
or paharo me
or biyabaaano me
apni wus'at dhoond sakuga?

kiya lafz zinda rahay gain?
kiya lafz phir bhe raag bhunay gain?
kiya lafz oro k dilo tak
pohnchay ka pull banegay?
kiya lafz awaaaz rahain gay?
ya phir lafz khaamosh hojain gay?
mujh se baatain karna band kar dengy?
meri dosti ko thukra dengy?

to btao agar me likhna chor du to?
kiya hoga?.....

aik baat arz karu?
oro ko kuch nahi hoga?
Main us siyaahi ki tarha hojaoga
jo lafz nahi banti
jo sirf gir jaati hai
kabhi zameen par
kabhi kaghaz par
barbaad kar deti hai kaghaz ko
yeh bekaar siyaahi...

to sach me kuch nahi rahuga
main to bekaar hojaoga
zindagi se bezaar hojaoga......

Sign In to know Author