Vaqt agar tham sa jata,
aur ye hawayen na rukti kabhi.
Mai bhi sayad mil jata,
us samundar se,
jo kabhi mili nahi.
in hare patton ki aar me,
chip jaun mai kabhi.
Sukh jayenge jald hi ye,
murjha jayenge ye sabhi.
Mai bhi sayad mil jata,
us samundar se,
jo kabhi mili nahi.
Kabhi dhoop, kabhi chaon,
kabhi barsaat ki khushi.
Mai to bas takte rehta hoon,
us samundar ko,
jo kabhi mili nahi.
umeed hai aaj bhi mujhe,
aayegi wo mere paas,
tor ke har bandhaan kabhi,
mai raeth hoon, paani nahi.
samundar banega banjar kabhi.
Mai nhi sayad mil jata,
us samundar se,
jo kabhi mili nahi.
Tags:
Sign In
to know Author
- SAM MUKHERJEE
Comments (3 so far )
VISITING FACULTY
Yo Sam!
June 21st, 2015
Author
:) Thanks
June 24th, 2015