jab main choti thi, mere sapno ki duniya kuch aisi hoti thi,
hawa mein udti pankh lagaye, neele gagan ki sir karti thi.
kabhi jab main udas hoti thi, hothon ki hansi kahi gum ho jati thi,
mamtamayi ek pari rani sapno mein aa mujhe hansa jati thi,
meri kilkari meri khushiyan uski duniya bhi yahi hoti thi.
khule maidan mein foolon ka bagan,
chhote chote khilauno aur chocolate se saza aasman,
chaand sitare jagmag jagmag,nanha pyara ek makaan.
kitni pyaari thi meri duniya, hasta gata mera zahan.
kya jaane kyon badi ho gayi, kho gaya kahin wo sapno ka zahan,
ab an waise sukhad sapne hain, nahi waisa sundar aasman,
lauta de koi mujhe mere sapne, meri pariya mera bagaan.....
Tags:
Sign In
to know Author
- AANYA VERMA