Ek pal ko pareshaan hokar,
Humne likh di ek daastaan.
Fir duje pal hi be-asar, hum khush se nazar aate hain.
Kyunki lamhe aate-jaate hain!
Ek baar baithkar auron ki,
Takleefein aur dard sunenge.
Fir duje pal hum apni hi duvidha me fanste jaate hain.
Kyunki lamhe aate-jaate hain!
Ek baar churakar aamdani,
Hum chain aaram farmaate hain.
Fir duje pal hum khud aise hi choron ke shikaar ho jaate hain.
Kyunki lamhe aate-jaate hain!
Ek waqt toh hum toota dil lekar,
Mandir-masjid me dukhda rote hain.
Fir duje hi pal sukh-dukh ki baat logon ko samjhaate hain.
Kyunki lamhe aate-jaate hain!
Ek wakt toh hum piche baithkar,
Sirf taaliyan hi bajaate hain.
Fir duje pal hi hum toli ke mukhya gaayak ban jaate hain.
Kyunki lamhe aate-jaate hain!
Tags:
Sign In
to know Author
- ASTHA KHARE
Comments (2 so far )
ETERNALME
sach hai .
September 24th, 2013
Author
:)
September 26th, 2013