kyun kartey ho maa ki puja
jaisey unkey bin koi na duja
naari ka kartey rehtey ho apmaan
bas yahi hai tumhara abhimaan
kabhi tou usko tandoor mein jhonka
nahi tou nagn kar sadkon pey phenka
kartey rehtey ho balatkaar
chahey karein wo kitni hee chitkaar
dikhla kar usko asha detey ho usko jhansa
kabhi neta tou kabhi sant ney hai usey phansa
mantron sey saraswati laxmi aur durga ka aahwaan
ashleel shabdon sey ho raha naari shakti ka gungaan

Sign In to know Author