Dil ki thi ek tamannah
Maano dil ki ek chah thi, unsuni
Kaafi derr tak;
Ab jaake puri hone waali thi
Qabool hone waali thi har duaa.
Phir nazar aaya, ehsaas hua
Jis ka darr tha, wahi hua.
Samne thi manzil magar
Ehsaas hua;
Toote dil se maine qabool kiya.
Manzil kahi aur thi phir bhi
Utne hi haunsle ke saath mudke,
Mai aagey badhi
Raah kaanton bhari thi,
na pairon me zorr,
Chont kha-kha kar dil bhi tha kamzorr,
Par haunsle ke saath mudke,
Mai aagey badhi.
Tags:
Sign In
to know Author
- RABIYA TISEKAR