Uski aahatein ab bhi sunai deti hain,
Uski dhadkanein ab bhi mehsoos karta hun...

Door hun main us se bahut,
Par ab bhi in hawaaon mein uski goonj sunaai deti hai...

Woh toh bas meri ek dost thi,
Par har pal dil mein woh kuch hulchul karti thi.

Socha na tha aisa modd zindagai mein aayega,
Na jaane hamari is pakki dosti ko kis oor le jaayega...

Mujhe uspar vishwaas hai, par khud par bharosa nahi,
Jaanta nahi main ab tak,
Kya ye sirf hai dosti, ya phir kya yahi pyaar hai...

Sign In to know Author