Kya milla tuje mere ishq k gulistaan ko samshan kar k

Kya milla?

Bekri hui hai yaha kabre un yaado ki,

Jo khila karti thi kabhi 

Muskurati

Woh pagal sa phirta yaha

Jo kabhi lagata tha phul yaha

Ajj khorta rehta hai nakuno se zameen

Kya milla?

Aisa nahi hai ki tha sabse khubsurat yeh gulistaan

Kuch phul murjaye the,

Kuch ronde gaye the

Magar kabhi sapno ki barish meh khelte the bachhe yaha

Kuch premi bhi aate the kabhi,

ladte, jhagadte, chumte, Gale lagte

Ab koi atta nahi hai yaha

Kya milla?

Un parindo k ghar ujad k

Kya milla?

 

Tags: Love, Loss, Poetry

Sign In to know Author