TUTNA TAY HOTA HAI HAR WO KHWAB JO DIL KE JAHAN ME SAJAYE JATE HAI
JANTE HAI SAB PAR MANTA KOI NAHI JAHAN ME
SANWAR DE KITNA BHI KIRAYE KE MAKAN KO EK DIN CHHORNA HI PARTA HAI
PHIR BHI USE APNA GHAR MANNE KA HUM KHUBSURAT WAHAM PALTE HAI
TUTE JO KHWAB TO TARAPTA HAI HAR-EK DIL AUR KEHTE HAI KYUN KHUBSURAT WAHAM PAAL RAKHA THA HUMNE ?
NA TO YAHAN KOI KISI KO PAKE PUAR HUA HAI NA KOI BINA KISI KE ADHURA HAI
PHIR BHI KHUD KO KISI KE BINA ADHURA AUR MILJAYE KOI TO HUM KHUD KO PURA MANNE KA BHARAM RAKHTE HAI
SHOCHTE HAI JAB HUM TO PATA CHALTA HAI KYA KHUBSURAT WAHAM PALTE HAI HUM ??
Tags:
Sign In
to know Author
- JITENDRA SINGH