Grami ke dino me wo barish ka intezaar karna,
Aur wo thande golo ke maze lena,
Na jane kyon, kuch yaad si aake reh gayi...
Wo chup chap barish ki aawaz ko sunna,
Aur biscuit ko chai me dubona,
Na jane kyon kuch yaad si aake reh gayi...
Wo cycle ki ghanti ka chun chun karna,
Un chote bachho ka hansna, rona,
Kuch yaad si aake reh gayi...
Kadi thand me wo halki si dhoop khojna,
aur razaai me khud ko oodhna,
na jane kyon, yaad si aake reh gayi...
Maa ke god me wo sar rakhna,
Baat be baat use chumna,
Aaj, na jane kyon kuch yaad si aake reh gayi...
Wo tera mujhse ruth jana,
Aur phir tujhe gale se lagana,
aaj kuch yaad si aake reh gayi...
Wo peeron ke sarsarahat ko khamoshi se mehsoos karna,
Aur uss chote se toote ko pinjre se aazaad karna,
Na jane kyon, aaj kuch yaad si aake reh gayi...
Khule aasmaan ke niche tare ginna,
Aur ek tutte hue tare se dil ki baat kehna,
Aaj kuch yaad si aake reh gayi...
Aasmaan ke pare, door un parindo ko udta dekhna,
Aur apne khayaloon me azaad ho jana,
aaj kuch yaad si aake reh gayi...
Wo unche lehrate tirange ko salaam karna,
Uske god me jeena, usi ki god me mar jana,
Aaj kuch yaad si aake reh gayi...
Wo surile, besurile geet gana,
Aur apne hi dhun me kho jana,
Na jane kyon, aaj kuch yaad si aake reh gayi...
wo Zindagi ki uchaiyon tak pahunchne ka sapna,
bina hare jeetne ka sapna,
aaj kuch yaad si aake reh gayi...
Haan teri yaad....Aaj kuch yaad si aake reh gayi...