chhat par baithi dekha karti,
tare main anginat anant.
aur poochti is ambar se ,
kahan hai aadi kahan tera ant?
simtaaye tu itne sare,
raaz na baitha kabhi achal.
fir prateet aisa kyon hota,
hai tu vismit shant atal.
maa kahti har ik yah tara,
hai kisi prani ka chaitanya.
batla mujhko hai yah sach kya,
ya fir branti ya kuch anaya?
kitne grah aur kitne taaron,
ka tu janak hai mujhe bata.
mere jaisa hai koi prani
aur kahin kya mujhe duvidha.
prashn poochti itne saare,
main tujhse hairaan hui.
hai tu kaise itna virakt,
jaise na koi baat hui....
Tags:
Sign In
to know Author
- AANYA VERMA
Comments (2 so far )
MITHILESH SINGH
tumhari hindi kafee achee hai
May 6th, 2012
Author
:)
May 6th, 2012