Kuch mere hoth hain sile hue, kuch aapke dil mein baat hogi
Khabar nahin kisi ko bhi magar, phir kab mulaakaat hogi

Hain khwaab lipte hue sookhe patton ki chaadar mein
Hai shaamil arzoo saari meri har aadat mein
Din ghat ta hi nahin hai ye kyun, na jaane kab raat hogi
Khabar nahin kisi ko bhi magar, phir kab mulaakaat hogi

Mere jazbaat ladte hain, meri khaamoshi ki zid se
Main sunoon to kiski sunoon, aitbaar karoon kispe?
Yakeen nahin hai apne dil pe, kehta hai wo mere saath hogi
Khabar nahin kisi ko bhi magar, phir kab mulaakaat hogi

Raat bhi ajnabi lagti hai ab, din bhi ab pehchaanta nahin mujhe
Tum hi ek apni lagti ho, par dhoondhoon kahaan se tujhe?
Milenge jis din hum-tum, saath saari kaaynaat hogi
Khabar nahin kisi ko bhi magar, phir kab mulaakaat hogi


Sign In to know Author