Naata mujhse toda, sab sahi...
wafa meri todi, sab sahi...
maine pucha khata kya hui bus itna bata do.
wo bole tum ishq kar baithe, hum saath de baithe,
ab naa jaane koi dekhta hi nahi meri ore,
samajh naa aya, ishq karna khata thi ya
uski khushi ko apna samjhna khata thi..
fir bhi kya hi kehta main,
bus itna hi bola...sab sahi
Yun ishq mein avval aane ka shauk nahi hamein,
malaal hai to bus itna,
ki hum unke jaanane waalon ki fehrist me bhi shaamil na the.
Nazmein likhna to pesha tha hamara,
ishq karke humse galatfahmi to aapne paali..
Ab takkaluff karne ka kya fayda,
tab kahan the jis roj tere sajde me ye sir jhuka tha.
Jhooma karte the tab khwabon ki duniya mein, wo bhi kya din the..
Aur fir ek din tum aaye aur wo sheesh mehel hi tod gye..
Unhe apna aks dikhai diya jab dil me lage jhaankne mere,
Itminan se dekhte jo, to khudki tasweer paate..
Patthar dil jaan kar bhi, mohabbat kartey gye hum,
aur zamaana hamein kosta raha..
aaj wahi paagal log uss murti ki puja mein lagey hain..
Umr gujar gyi ishq ki tarannum likhte likhte..
qadradaaniyan to khoob looti..
par wo shaqs na mila jo bole aake humse ki mohbbat hai tumse..