Parvat ne jab angdaai li
Mausam ka bhi dil lehraaya
Baadalon ne dastak dekar
Hawaaon ka bhi mann behkaaya
Mere khwaab dekh rahe the ye tamaasha
Sooraj ke saath baithkar
Aur kar rahe the maktal mein baatein
Meri zindagi se milkar
Door khadi koi sada shaayad
Mera naam le rahi hai
Main pahuchta hoon uski samt
Pata chalta hai wo so rahi hai
Mera raabta hai in sookhe patjhad ke patton se
Jo zameen pe karke sajde
Meri dastaan sunaate hain iss mausam ko
Aur kabhi khaamosh rahe us shajar se
Jisne aaj muskuraakar
Haal apna bataaya saare aalam ko
Mere khwaabon ke guldaste mein
Ek kali murjhaayi bhi hai
Roothe hain ye sitaare mujhse
Chaand bhi gussaaya hai
Hai falak ye jiski amaanat
Wo bhi aaj ghamzada hai
Jise hai mohabbat ki chaahat
Wo bhi aaj gurbatzada hai
Ashqon ke is saagar mein
Doobi khushiyon ki kashti meri
Main jaata nahin mehfilon mein ki
Aisi nahin hasti meri
Hai kaun jo daawat deta hai
Mere khwaabon ke us qaatil ko?
Jab chal na sakoonga raah pe main
To kyun takta hoon manzil ko?
Ummeedon ka ek bawandar
Mere seene mein bhi palta hai
Khwaab dekhne ki khata kya ki
Ye khud se hi ab darta hai
Main qaatil nahin kisi ki duaaon ka
Is haadse ka kyun phir shikaar bana?
Main mujrim nahin unki khushiyon ka
Phir kyun main daagdaar bana?
Hai ab khalaaon mein jo meri sadaayein
Ab ye hi meri raazdaar hain
Ye patte ye phool aur shajar
Ab mere karzdaar hain
Main dhoondhta hoon inmein apni khushi
Jo kabhi na kabhi to mil jaayegi
Mere daaman mein meri muskuraahat
Aakar kabhi to gir jaayegi