Guftagu unse kuch hui,
tasalli hai dil ko kuch to hui.
chal pada hai silsila
akhtyar kar le jo bhi rukh, iss rah-e-aitbaar mein.
.
.
.
.
.
Pyas thi jiski , ab woh bipasha hai
Ishq mein jar-jar hota dil ek tamasha hai.
Maanta nahi namakool, jiddi bada hai
Arsaa ho gaya takte, fir bhi besabar khada hai.
Alfaaz ko guftagu kehta bhar hai,
Mizaaz-e-ishiqiya rehta sar hai.
Rehta hai ussi waqt mein kahin.
Taranum soti nahi, naa sone deti hai
jagaa k raat bhar, chaand mein chehra taakta yeh huzoor hai,
tasali hai to yeh, kisi ka uspe ab bhi haq nahi
Tags:
Sign In
to know Author
- SIDDHARTH JAIN