Kehte hain...
Kehte hain.........
Nadi ki shuruaat parvat se hoti hai
Aakash ki shuruaat kshitij se hoti hai
Mohabbat ki shuruaat dil se hoti hai
Par mere dost...zindagi ki shuruaat kaha se hoti hai???
Nadi ko saagar khud talaashna padta hai
Aakash ko uchaai khud chadhna padta hai
Mohabbat ko pyaar khud paana padta hai
Usi tarah...jism ko zindagi khud jeena padta hai
Kehne ko toh yeh bhi kehte hain...humare takdeer me sab pehle se likha ha
Par kabhi yeh nahi sochte, ki aakhir aisa kyu likha hai?
Soch toh yeh bhi lete hain ki kalam ishwar k haath hai
Par kabhi yeh nahi sochte ki ishwar kyu humare sath hai?
Mana ishwar naam ki taakat hai iss duniya me...
Par isliye ki hum kalam pakadna seekh sake
Uss kalam se apni takdeer likhna seekh sake
Ishwar ko intezaar hai uss ghadi ka jab hum zindagi ka pehla akshar likhe
Taaki uss waqt se hum apni zindagi khud likhna seekh sake
Kabhi kabhi ruk jaate hain kalam likhte likhte, hum use badnaseebi ka naam de dete hain
Nayi dawaat bharni pad jaati hai, aur hum use khushnaseebi ka naam de dete hain
Ruk nahi paate haath uss pal, jis pal kalam ruk jaate hain
Aur kuch akshar daag bankar uss panne par bin chahe likh jaate hain
Kabhi kabhi toh fat jaate hain ye panne iss bin chahe likhayi me, aur hum use maut keh jaate hain
Yeh bhi niyati ka khel hi toh hai...
Ki hum zindagi jeene ko bhi takdeer keh jaate hain!!!
Comments (9 so far )
shukriya...
:-)
:)