Kaun maze leta hai in baarishon k ab
kum se kum aap aur hum to nahee..
hum to bas balcony main chai aur kitab leker he apni kismat pe itraate hain!
bachhe jaroor pani main bheegte aur macchli bante dikh jate hain
kuchh mendhak dur k gaddhon se khush ho k aawaaz lagate hain
aur kabhi mor sheher k bahar wale janglon main gaate sunai de jaate hain
main aur aap to bas chinta main doob jate hain
ki sadkon pe barasta ye pani hume koi takleef na de jaye
kaheen traffic main aaj hum lambe na phas jaye
pata nai gharwale ghar pahunche honge ya nahee
aur kaheen khidkiyon se pani hamare kamre main na bhar jaye,
kapde jo sookhe the vo phir geele na ho jayen
aur jo bukhar theek se utra bhi nahee vo phir se na chadd jaye
phal aur sabzi k daam kaheen phir se na badh jaye
aur kaheen jyada der k liye bizli he na chali jaye!
ab nai yaad aate vo din jab har barish main bheega krte the
maa k bar bar mana krne pe bhi aise he machhli bante the
chhat k pipe ko khud he choke kiya krte the
aur anginat navo ko galliyon main tairaya krte the
chhote chhote mendhako ko hanthon main uthaya krte the
jheenguron ki aawaazo pe kaan lagaya krte the
aur raat k jugnuo ko muthee main samaya krte the.
hum badle to baarishen bhi badal si gayee hain
kai ghanto ki ghanghor ghataayen ab kuchh minto main simat gayeen hain
ye kuchh pal ki barish bhi mera sheher ab jhel nai pata hai
aur har shakqs bahar se sirf shikayat leke he aata hai!