kash koi apna bhi hota,
jaise koi sapna hi hota,
usme hum khoye rehte,
aur wo mujhme khoya rehta,
na din ka pta hota na raat ka,
na dostoon ka na yaar ka.
uss se hi zindagi suru hoti,
uss pe hi khatam hoti,
kash koi apna bhi hota,
jaise koi sapna hi hota,
usme hum khoye rehte,
aur wo mujhme khoya rehta.
uske aane ka mujhe ehsaas hota,
mere khushi aur ghum ka usse hisaab hota,
duniya se jo mere liye laad jata,
mere liye kaantoon bhari raahoon me bhi phool bichata,
kash koi apna bhi hota,
jaise koi sapna hi hota,
usme hum khoye rehte,
aur wo mujhme khoya rehta,