To ek kahani ke hum do patr the.
Sahme se huye gumsuda jazbat the
Nazro se lupa chupi kar dono milte the
Jo milti thi nazar to dono bebak the
Koi dastoor unke palle na tha
Isliye fitoor ko dastoor banakar jb milte the ji liya karte
Tajurbatoein ki angdaiyan wo sath milkar liya karte
Kisse kahaniya chutkule wo sab main jiya karte
Par wo kahein hai ki duniya itni hi nahi hai
Sitaroein se aage jahan aur bhi hai
Hum hi nahi waha aur bhi hai
humari har ek bat hoti wahi hai
Phir wo kahani hi kya jo karvatbhar main ho jaye
Wo kahani hi kya jo palbhar main kho jaye
Wo kahani hi kya jiske rachaita tum na ho
Wo kahani hi kya jiske vikreta tum na ho
Wo kahani hi kya jiske aagaz main tum na ho
Wo kahani hi kya jiska anjam na tumse ho
Wo kahani hi kahani hai jo ankhoein se kahi ja sake
Wo kahani hi kahani hai jo dil se sunai ja sake
Jiske patr kbhi tum honge ..
Jiske patr kbhi wo honge
Bas jazbat ko alfaz banakr tab bhi taula jayega
Aur Jazbat ko alfaz banakar aaj bhi bola jayega..
P.S- Thanks to Piyush Mishra for those beautiful verses of his poem “Yeh Duniya Agar Mil bhi Jayein to Kya hai”