Ek nanhi kali ek bagiyaa mein khili
bhale hi naadan , thi badi manchali,
Karti wohi jo dil mein aata
Sunti wohi jo mann rach jaata
Mila ek bhawra aisa,
ek gungunahat mein saama badal de waisa,
Ab lagi wo kali sawarne,
Ittharne, itthlane aur machalne
Paati jab bhi bhawre ko baagiya mein
Lagti khil khilane apne angaan mein
Kali ab samjhi apne roop ko
Apni khushboo ko, apne rang ko
Bhawra wo bhi tha manchala,
Mann ka saccha par baton ka chala
Pyari baatn mein uske kali fisli
Laga use, uski duniya badlI
Kal chala gaya wo bhawra doosri bagiya mein
Dhundhti reh gayi kali use apni duniya mein
Kiya kitna intezaar uska,
Nahi aaya paaigaam uska
Karti kya wo bhi jhaali,
Roti rahi uski yaadon mein pagli,
Din badle saalon mein,
Aaj bhawron ki bheed mein,
Kehti hai mann hi mann khudko,
Intezaar karo, jaldi kis baat ki hai,
Aayega wo bhawraa tumhara,
Ab kali nahi tum ki ek phhol ho!