Kabhi khamooshi ko suna ha tumnay?
Itminaan ha oske huzoor mien
Oski maujoodgi ka
Apna hi asr ha
Apnaiyat ha
Beqaraaron ko khamooshi
Qaraar bakshti ha

Jaltay bhojtay madham sitaray
Chamak othtay hain ishtiyaak mien
Najanay mujhsay kia bolaygi ...
Per khamooshi,,
Khamoosh rehti ha

Sar sar karti hawaen
Saansaen rook layti hain
Is omeed pe, kuch kahaygi ...
Per khamooshi,,
Khamoosh rehti ha

Machaltay samandar ko
Tehrao bakshti ha
Jaisay shararat karti bachi
Maa ko takti ha ...
Per Khamooshi,,
Khamoosh rehti ha

Laiken pathar se banay in pahaarhon ko
Aur pathar say insaano ko
Wehshat zadah karti ha
Khamooshi,,
Kaan mien kuch kehti ha
Pareyshaan karti ha
Taanay kasti ha
Bhooli hoi talkh yaadaen
Sargoshi karti ha
Khamooshi
Asr karti ha

Kabhi khamooshi ko suno tum
Dekho, kia asr karti ha

Sign In to know Author