Sapno k aane ka koi kaaran ni hota
Har yaad k peeche koi kaaran ni hota
Aakhir hum iss duniya me kyu hain?
Har ek ki zindagi ka koi kaaran ni hota...

Hum aate hain iss duniya me, kitno ki khushi banker
Par hum jaate bhi hain issi duniya se, aankho me nami dekar
Jab jana hi hai toh hum aate kyu hain?
Kya bataye, aakhir iska bhi koi kaaran ni hota...

Jab hum door jaate hain apno se, toh unhe hum itna yaad kyu karte hain?
Fir aadat ho jati hai door rehne ki, toh karne se unhe yaad kyu darte hain?
Inn sawalo ka jawab milega ya nahi, pata nahi
Aakhir aise sawalo ka koi kaaran ni hota...
Jab ghutne lagti hai dum apne hi saanso se, toh hum mar bhi nahi sakte
Kyuki hume dekh kar koi aur bhi jeeta hai
Humu hi dekh kar kyu?
Iska bhi koi kaaran ni hota...

Hum jab khush rehte hain, apno k sath rehte hain, tab hume zindagi choti lagti hai
Par aaj jab ek ek pal ni kat-ta, toh zindagi jeena bhi majboori lagti hai
Aisa kyu hota hai??? Iska koi kaaran ni hota
Bas itna yaad rakhna mere dost, humari zindagi ka koi kaaran ni hota...

Tags: Literati, Kaaran

Sign In to know Author