Meri zindagi pe har pal,
Gham ka saaya rehta hai
Mera apna dil bhi ab,
Mujhse paraaya rehta hai
Kaali dhoop ka kaala pehra,
Mere dil pe rehta hai
Meri khamosh padi nazmon se,
Jaane kya ye kehta hai

Aksar dastak deti hai
Khushiyon ke kadmon ki aahat
Par jaan ke mere dil ka haal
Kho jaati hai wo muskuraahat
In khushiyon ko ghar bulaane se
Ab mera dil bhi darta hai
Kaali dhoop ka kaala pehra
Mere dil pe rehta hai
Meri khaamosh padi nazmon se,
Jaane kya ye kehta hai

Hai kaun si wo baat jo
Ab tak mujhko samajh na aayi
Baitha hoon jab main mehfil mein
Phir kyun ghere khadi tanhaai
Meri khushiyon pe gham ka
Pal pal khatra badhta hai
Kaali dhoop ka kaala pehra
Mere dil pe rehta hai
Meri khaamosh padi nazmon se,
Jaane kya ye kehta hai

Sign In to know Author