Kami to nahi hai tumhari,
Par sath tumhare main,
Khud ko puri si lagti thi...
K wese to adhi duniya
Jeet li hai mene maine
Par sath tumhare zindagi
Kamyab si lagti thi..
Kinare pe baithe sath tumhare
Yu chadhte utarte suraj ko dekhna,
Bin kahe bhi har baat
Suni samajhi si lagti thi...
Ret pe chalte chalte bas tere
Hath thaam lene se
Reteelee jammen bhi
Phoolo si lagti thi...
Mujhe dekhte dekhte jab tum
Palke jhapkana bhool jate the,
Tab mujhe me thori aur
Khoobsoorat si lagti thi...
K jab alfaazo ka kaam
Ehsaas kar dete the,
Rishte upar se bante hai
Ye baat kuch aur jyada
Sacchi si lagti thi...
Meri anginat baato k ant me
Jab tum kehte the, ki tumhe
Sunna achcha lagta hai,
Wo meri bewajah ki baate
Mujhe motiyo si lagti thi...
Jab kehte the,
Ki tumhara sab kuch, bas mera hai
Main sabse ameer si lagti thi...
K door hoke bhi jab tum
Ass-Pass hi hote the,
Duniya thori choti si lagti thi...
Pyaar tab bhi tha, Pyaar ab bhi hai
Fir ye ranjishe darmiya
Bewajah si lagti hai...
Laut ao ab
K fir se sath chale
Bin tumhare har safar-manjile
Bas fijool si lagti hai...
Zindagi me ZINDAGI thori kum si lagti hai...
- shayantika bhattacharya :)