ab na aag lagana mere dil me,
mere dil ne pighalna chhod diya hai
kabhi deewana rehta tha dil kisi ke liye
ab is dil ne bhi machalna chhod diya hai

kai baar toot kar bikhar chuke hain sapne
aur mere khwabon ne bhi bikharna chhod diya hai
ab to mujhe chand ghumo ka hi saath milta hai
warna dosto ne bhi ab milna chhod diya hai

bekaar hai koshish mujhe samhaalne ki
meri rooh ne bhi ab samhalna chhod diya hai
laakh koshish hai mujhe badalne ki bekaar
kyu ki ab maine badalna chhod diya hai

zidd na karna mujhe safar par jaane ko
ab mere pairon ne chalna chhod diya hai
is zindagi ki chot ne bahut rulaya mujhe
ab aansuon ne nikalna chhod diya hai

thak gaya hoon marne ka intezaar karte karte
maut ki ghadiya ginna maine chhod diya hai
mat samajhna ki maine maut ko gale lagaya hai
maine to bas ab jeena chhod diya hai

Sign In to know Author