Jab kuchh na the, toh the kya khoob
Apni hi raushni me baad-e-ghuroob,

 

Gir kar uthna tha roz ka dastoor,
Zindagi paas thi, manzil thodi door,

 

khwaabo me jaagkar, neend se badhawaas,
Shaamo ki qaid me thi subah ki talaash,

 

Jab subah mili toh raushni bhool gaye,
Jahaan se uthe the woh basti bhool gaye,

 

Aankho ke saamne duniya jahaan hai,
Dost the kal, ab jaan pehchaan hai,

 

Yaad rakhi toh bas kadwaahatein,
waqt se mili khaamosh aahatein,

 

Jab kuchh na the, toh thi koi baat,
Ab kuchh hain toh kuchh Nahi yaad.

Sign In to know Author