yey ishq ek nasha hai ya rog kehna mushkil hai
dastoor hai iska behna jiski koi manzil nahi hai
ek khoobsurat ahsaas hai jo dil sey saans tak mehsoos hota hai
koi tou hai jisey apna kehney key liye raqt ee dil majboor hota hai
tamannaon ki tasweer hai yey ishq, jannat ki ek boond hai yey ishq
koi aashiq hai tou koi deewana koi maashuqa hai tou koi parwana
kisi ko ishq mein dard tou kisi ko sukoon milta hai
jhoothi ulfat ka tou kisi ko apni chahat par yaqeen hota hai
koi aansuon mein isey utaar leta hai tou koi intzaar mein
koi shayar ban jaata hai tou koi kavi ban kar kho jata hai
kisi mein shokhi aa jati hai tou kisi chehrey par tesu key phoolon ki lalima
kafan baandh kar bhi log ishq key parwaan chadhtey hain ya
Khudkushi kar ishq ki gehraayiyon mein doob jaatey hain
roomaniyat ki bulandi kuch hee hasil kar paatey hain
ishq ki dhamniyon key saath kuch hee chal paatey hain.