aaj shuru karuga is sher se ...
rasm-e-intezaar bhe kitni ajeeb hai
muntazir-e-yaaar khuwaar hota hai
is intezaaar ne mujhe kiya bana diya hai...
sadiyaan beet gayi hon jesay...
waqt ki lehr bht door chali gayi ho jese....
jawaani burhaapa hogayi ho shayad ...
dharkaaan sehm gayi ho jesay..
chamak jo aankho me the, nahi rahi ho jese..
mazboot haath kaaanp rahay hon jese ...
taaangain larkharanain lag gayi hon jese...
chehra jhuriyo se bhar gaya ho jese ...
baaalo ka siyaapan sufaidi me dhal gaya ho jese...
samaa'at khatam hogayi ho jese..
sab alaamat intezaar ki hain wese...
par intezaar kiun karta hun?
par intezaar kiska karta hun?
mere daaayaain haath k...
anghootay par...
siyaaahi ka nishaaan hai...
par yeh nishaaan be-naaamo-nishaaan hai ...
utha haaath phir ,chehre k saamne aya ...
jawaani ka dor jese mujhpe phr le aya....
haan ....haaan ...haaaan....
ye nishaan to mere qalam k khooo'n ka hai
haan ye siyaah nishaan meri adhooori tehreero ka hai...
haan nishaan ye mere intezaaar ka hai ....
or intezaar apne qalam se phr pyaar ka hai...
or intezaar apne qalam se phr pyaar ka hai...