kabhi ye behti lehre
kabhi cham cham karti baarish
kabhi ye nam aankhen
aur kabhi ye halki si aahat
na jane kyun teri yaadon ko le aati hai
aasman mein badalon ko tere naksh se sanjo leta hoon
man beman kitabon pe tere naino ko sanwar leta hoon
chalte chalte kadmon ko tham lene ki aadat ho gayi hai
ek bar mudkar tere peeche hone ka ehsaas kar leta hoon
dil ki shyahi se bhi maine tera naam likhkar dekha hai
magar thaki hui har ek aas se tere naam lena bhi dekha hai
garmi main ek thandak si aur jaandon mein garmi si
mere har sannate mein tera doudna bhi dekha hai
teri sharmati aadon mein ek khoyi si mehek mil jati hai
jab kisi chehre tu nahi teri parchai dikh jati hai
lafon ke surror ko tera hi khwab aata hai
jakhm dikhta nahi kisi ko dil ka
magar ye nam aankhen dikh jaati hai
chain se jiyun shayad meri kismat nahi
chain se mar sakun itna bhi sukoon nahi
shayad kisi roz khuda mile to ussse ponchu
kambakht meri khata thi kya jo saza is majroor dil ko mili