bohat thaka huwa tha..badan thakawat se aisa tha jesay urti bikharti howee rait ho.
jesay fawaray ka paani bikarti huwa….jesay pankhay se bikharti huwee hawa ..
Haan sach hai bikhri howee cheeez me taaaqat nahi rehti ...
aankhaain aisay bhaaari the jesay itne saalo me hazaro manzr dekh kar unki bus hogayi ho..nomolud k ronay se no-beyata joday ki shaadi ki khushi ,phir olaaad ki naimat, phir usay sikhana , uskay qadamo ko mazboot karna, phir yeh maaashra, yeh khush maashra,yeh udaas maashra,yeh aansu bahata huwa behis maashra,yeh dulhan banta maashra ,yeh talaaq-yaafta maashra..yeh sehray me saja maashra,yeh kafan me lipta maashra ,kabhi kisi ki doli ko aag laga dee, kabhi kisay k armaano ko..hazar manzar thay hazar yaadain bani...aaankho ne sab dekha , haan aankh ne dimagh ko jhinjhornay k liye sab dekha..aik aik manzar...or aaj aankhain thakawat se aisay thee goya aaj wo inteha par pohnch gayi hon ..aaaj un pe itna bhoj tha k dekhne ka mazeeed bhoj unhe benaaai se mehrum kar sakta tha.
Dil ki dharkan the par kaheen khamosh ...kabhi mayat k ird gird bethay logo ki khamoshi dekhi hai? Sisakti huwaee?aansu bahati huwee wesay he khamosh the dharkan…dil ki dhak dhak ki bajae sssh ssshhh ki awaz arahi ho jaisay.
Or dimagh sun tha...hazar khayal thay par kuch bhe na tha…jesay kisi kitaab me hazar kahaniyaan ho lekan kitaab ko jala diya gaya ho….aik murday k dimagh me or mere dimagh me kuch farq na tha.bus itna k murday me saans nahi rehti ,mujhme abhi sans baaqi the.meri naak se abhi madham c see see bhe jaari the…phir najanay kiya huwa main doob gya.kahan? is ka mujhe ilm nahi.shayad wo neend ka sagar tha ya madhoshi ka darya ,lekan main doob gaya tha.main gharq hogaya tha..kisi gehraaai me jarha tha…
Jesay jesay main doobta gya wesy wesy main aik or dunya me daaakhil hota gaya.yun samajh lejiye k jesay is dunya me jahan main or aap hai is zameen se meri saans khatam hoti gayi ,dharkan thamti gayi or main kisi or dunya me ata gya,sans ki girhain bandhti gayi,dharkano k sur mazboot hotay gaye or dheere dheere main is nayi dunya me mukamal tor par tha.
Yeh dunya jis me main aik pur-israr tor par agya tha is dunya se bilkul ajeeb the. Har taraf lehratay ped or khair rango k or roshni ki .kaheen jesay kisi chotay bachay ne haath se banae ho..kaheen jo k bht he maaahir musawir ne banae ho…or ped aisay k phal e phal,phir lamhay me uspe lagay phal badal jatay.or phal bhe itne taaza k main ne kabhi na dekhay…asmaan pe nigah dorahi to chaand he chaand thay or ik sufaid chaand nahi jo hum dekhtay hain ,pooray sath jo k dhanak me hotay hain un rango k chand thay..parinday ur rahy thy.aik chand se doosri ki or .aik ped se doosri ki od.kabhi aik phaldaar ped se doosray ki od.
main dekh rha tha k bohat se log hain ,sab k chehre khushi se dhamak rahy thay. Har koe khush tha .muskurahatain the or jab muskurahatain hon to dil or josh se dharakne lagta hai or yeh dharkane ki awaaz itne barh gayi the,k us se aik sureela naghma kaano ko choo rha tha. Koe shor na tha bus awaazain the meethi awaazain ,dil ko lubhanay waali awazain .
Yeh sabkuch dekh kar main khush bhe tha or hairaan bhe.Main jo sochta tha wo hojata tha.Main ne socha har bacha apne maa baap k saath ho to wo nazar aye..main ne socha maa aik farishtay k roop me bhe nazar aaye to har taraf farishte nazar anay lagay,jo khayal tha wo haqeeqat the.
Main yehi kar raha tha k bheed me se aik shaks meri taraf aata dikhaaee diya.Wo jismaani tor par mazboot, rohaaani tor par khush-baash nazar aarha tha.Aik khoobsurat baat yeh the log uski taraf begair kisi waja k mabzool horahy thay.khinchay chalay jarahy thay.or wo meri taraf arha tha par baaqi logo me bhe but rha tha…
Wo mere paas aa k ruka or usne apna haath meri taraf barhaya.Main ne haath milaya or poocha …”tum kon? “
Bola” mujhe kesay bhol gaye?”
Main bola “ main kabhi mila tum se?”
Bola” aray roz milty hain hum to”
Main ne kaha” kahan pe ,kesay?
Bola” jahan tum chahtay ho wahan”
main phir bola “main chahu wahan?”
bola” or nahi to kiya tum he mujhe bulatay ho ziyada-tar,haan kabhi kabhi main khud ajata hu”
main ulajhne laga to wo muskuraya or bola ” tumhara khuwaab hun main”
main bohat khush hgya,main ne apne khuwaab ko paa liya tha,itna khush k meri khushi se wo poori dunya chehak uthi.phir main ne us se wo sab baatain ki jo main or khuwaab mil kar karte thay.Bachpan se jawani tak ki sab baatain.
bachpan ki masooom batain or kahaniya…
larakpan k nadaan qisay..
jawani ki ishq ki dastaanain …
sab batain kahaniya ban kar hum dono k beech agayi…
Bus wo khaamosh rehta or main bolta jata ..aik aik kahani main usko sunai or wo chup chaaap meethi c muskurahat me jawab deta,phir aisa huwa k main ne aik sawal kar lia or wo naraz hogaya or kaheen chala gaya or phir wo dunya bhe weeeran hgyi, aik sehra bn gayi wo dunya ,aik dehkta hua mot ko bulata sehra. …
Lekan aisa kuch ghalat bhe to na pooch liya.Sirf itna k
“Ae mere khuwaab tu haqeeqat me itna talkh kiun hojata hai? “