Hamara ye tum ko salaam aakhri hai
Suno aj tum se kalaam aakhri hai
Agar ho sake to bhula dena hum ko
Yehi ek chhota sa kaam aakhri hai
Abhi aarzuon k sehra pyase hain
Magar aansuon ka ye jaam aakhri hai
Teri bewafaye ka shikwa aakhri hai
Yehi to wafaon ka inaam aakhri hai
Mariz-e-mohabbat ki aye chaara sazo
Tumhare shehar me ye shaam aakhri hai
Zara dair thehro qazaa k farishto
Labon pe hamara payaam aakhri hai
Koi mil sake ga na Hasrat k jesa
Teri adaon ka ye ghulam aakhri hai
Tags:
Sign In
to know Author
- ARAK VATSA
Comments (4 so far )
SRIJAN SRIVASTAVA
Now I feel...you are back!!! ...awesome!!
April 3rd, 2012
qalb ki ek humak, shayar ko sada do,
tumhaara ye "aakhiri" kalaam, aakhiri na ho...
tumhaara ye "aakhiri" kalaam, aakhiri na ho...
April 5th, 2012