The following poem is not the pessimistic view of my mind.It is just only the Random thoughts that have originated somewhere deep in my mind in view of recent events of the country,state and my own surroundings.I hope May God bless our country and the whole world so that we are able to get rid of those sins,problems and crimes the world is dealing with,in the present scenario.
Hai soya yahan har koi
mushkil unhen jagana bhi
yahan marna bhi gunah hai
aur gunah hai janm paana bhi
bas ek aatma kaid hai andar
mushkil azaad karaana bhi
yaha kaidi rehna bhi gunah hai
aur gunah hai azaad kehlaana bhi
hai gungi andar ki awaaz
mushkil hai sunwaana bhi
yahan chup rehna bhi gunah hai
gunah hai awaaz uthaana bhi
hai badi bedard ye duniya
kathin hai karuna dikhana bhi
hai gunaah gum chhupana yaha
aur gunaah hai gum sunaana bhi
nafrat se bhari hai duniya
mushkil hai pyar badhaana bhi
hai gunaah pyaar chhupaana yaha par
gunaah hai pyaar jataana bhi
nahi hai keemat kisi aansu ke
mushkil ye samjhaana bhi
hai gunah aankhon ka rona
aur gunaah hai muskurana bhi