"Hamari pyaari, sabki dulari Roopmati"

Roopmati jab hum sheher me kaam karne Gaye the tab tumhara 1 baccha tha..... Ab tumhare 3 bacche hai ... Kaise?


Aji aap ka hi man nahi bhara humse to hamari kya galti? 2 bacche aur to hone hi the, topi to pehnte nahi aap.


Na re pagli byahaa rachaya hai tujse..hum kaahe phenege topi..Gair thodi na h..Humara tooliphone kharab hora.


Telephone hi to bawal ki jad hai, byaah me topi nahi pehnte to chalta. Par ab pardesh me ho, pata nahi kaun si do rupay waali mem se beemari le aaye ho. Hum do, hamare do ka naara lagaya karte the apne gaon me, yaha pe hum alag hamare teen ka rayta failaya hai.


Telephone toh piyaar ka taga jhode rakha h tumse,warna hum to kabhi ka phurr hogaye hote..Dhuttt pagli parayi mahila ko na dekhte hum us nazar se..Jab bhi jaroorat padti h..tuhar darwaza khat khataye lete h..Humare tinku k baare meh kuch na bolna..sabse pyara h bacha woh humara.

Pardesh jaane ko kaun kahe the tumhe, yihaan rehte to, pallu ke dhaage se bhaandh ke rakhte tuhaar pyaar.
Tinku ke papa ho kya khaali? Baaki chotu aur monu ka kya hoga? Aur tuhaar alawa aur majnu bhi khatkaate hai hamara khidki-darwaaza. Hum kholte nahi, chotu, monu aur tinku ke khaatir.


Tera pet paalne k liye hi toh jate h pardesh..warna apni lugai k bina kaha lagta h humara dil bhi..Chhotu aur Monu tinku ko padhaenge likhaenge bada admi banegae..Rani ban k rahi gi tu bhi phir!..Humre pass! Pata h ladoo tuhar isi budhmanni ki wajah se toh ko byaha racha k laye..Humare Chotu,motu aur tinku ka khayal koi na rakh sakti,humari lugai k alawa..Saari khareedege tumhare liye hum..aake pehanaege..Pari lage gi aasman ki tu!

Aaye haaye saiyaan ji! Aap to itni mehnat karte ho, maaf kar dijiyega hamari gustaakhi. Haan chotua to bahutan tez hai padhai me, baapu pe Jo gaya hai. Raani to abhi bhi hai hum aji.

Ladoo kaisi gustakhi? Tumhar hakh banta h..apne marad se sawal puchne ka..
Rani ko maharani bna denge jaldi hum..baki bacha bhi brabar mehnat karte h na..kauno jaarurat toh nahi padti ..?


Aapki ladoo to aapke pyaar se dhokha nahi kar sakat hai. Khayaal to aap jaisa koi rakh nahi sakta mera.
Aap to laajwaab kar dete ho hamein, bas isI vajah se to uh din sarso ke khet me aapko dil de baithe hum.
Leela ek din aake kaheb ki tuhar marad to chhor gaya tujhe, hamne okho keh diya ki chotu ke papa ke baare me kuch naahi bolo. Moong dalti hai hamari chaati me aisi baatein.


ohh chotu ki ma..Piyaar toh Ramu ki shadi meh hi hogaya tha..Sarso ko khet meh toh Chotu hua tha....:p
Bawli h woh..Uska Mard toh pure din syamu ke waha hukka peeta h..Juwa khelta h..Aee badi Meri lugai ko btani wali...


Aap na bade woh ho. Ramu ki shaadi me to ikraar kiya tha aapne aur hamne sweekaar. Chotu to gaon ke paache bhutiya kholi me hua tha. Koi aur naashpeeeti hai kya tuhar?
Aap to daaru ko haath bhi nahi lagaate, vaapas kab aaoge?


Na re humare bhag meh toh ek hi nashpati h..Bawli woh na sambhal ri hum se, dusri kaha se rakhne wale hue...Dhutt bahut hi seedhi h humar Rupakali..tu na samjegi..
Bas Savan ka intazar kar rahe sach kahe toh ab jhudai bardast na hoti..Kal hi ajate hum toh humari rupakali k pass!


Aapki roopmati zara bholi hai, maaf kar deyo uskI galti.
Saavan to bahut door hai chotu ke papa, judai tuhar lugai ko bhi bardaasht nahi hoti. Kal kya aaj hi aa jaayo, ek din bhukhi reh legi mai.



Han re pagli jiya toh humara bhi machal jara apni lugai k khatir..Magar yeh sasura factory ka mallik hum ae nahi dera h..Pagli hume toh bhuk hi ni lagra yaha..


"Ki tum bin jiya laage na.."
Ee gaana radio baaje me aa raha tha, hum to ro hi pade, tinku puchan laage ki Amma ro kaahe rahI ho? Ab hum kya samjhate usko? Factory ke hitlerbabu ko samjhao na...

Sign In to know Author