ankhon mein basa eik dard sa hai
yeh dard bara be-dard sa hai
honton k kinaray simta hua
muskan ka mara karb sa hai
chand moam ki nazuk guriyon ka
jis simt mein eik gharonda hai
uss nagar mein chanda jalta hai
uss des ka sooraj sard sa hai
uss khwab ki bhool bhulayon mein
chand bhoolay bhatkay rehtay hain
wahan waqt ki band hatheli mein
din raat ka dhara gard sa hai
mein matti k aainon mein
doa chehray dekha krta hun
jo itnay miltay jultay hain
goa bata hua ik fard sa hai
excerpt from my play Sannata
Tags: