Thandi si hawa , aur in jhoko me chupti si yaadein
wo raat mein sehmi si nami aur is nami mein ye bheegti aankhein
koi door ujalon ki chamak jaise man ke kamron mein yaadon ko tatolti
aur ek thehra sa eksaas shayad kahi gumsum si hai ummidon
aur nayi udaan kisi naye khwab ke jaise.
Matlab :-
(Ek thandi si hawa apne jhokon mein kayi yaadein chupaye meri raat ke palon mein kapkapahat paida karti hai , is raat mein ek alag sa nasha hai ,kuch sehmi si nami hai aur ye aankhein bhigo rahi hai ...kisi soch mein dooba shayad koi ujala dikh jaye , mere man ke kamaron mein koi teri yaad mil jaaye . fir ek ehsaas dil mein thehar jaata hai , meri har ek ummeed mein mujhe meri haar mil jaati hai ...magar mein nahi haaronga ..kyunki mujhe udna hai , ek naye khwabb ko bun kar ek nayi rah pe chalna hai . )