Ek kali(bud) ko jo maine dekha
Dekhker wo b mujhe muskati hai
Khamosh ankho se wo kuch punchti hai
Chup hoker b lakho batein keh jati hai
Door se use dekhker mera boodha dil
Kuch pal k liye fir hans deta hai
Uski masoom hansi ki awaj se
Fir jevan ki tareef krne k liye bebas kr deta hai
Asman me udti chidiya ko dekhker
Wo bhi udne k liye hanth uthati hai
Fir apne bapu ki godi me khud ko pati hai
Aur chidiya ki tarah chehekti, khilkhilati hai
Dekhker uski nanhi ankho me
Lgta hai jaise sapne hajar hain
Baat manwana apni use khoob ata hai
Ansu, roothna, rona jaise uske hathiyar hain
Ek roj chupke se uske jhoole k paas jaker
Ek choti si kali maine usko de di
Use leker wo yun chehki
Us pal ne mujhe ek nayi jindgi de di
Hanth uthaker usne meri safed dadhi ko chua
Kuch ruhani thaw o pal, na jane kya hua
Hajar jajbaat beh gye meri boodhi aankho se
Jaise naye patte milne aaye hon fir se boodhi shakho se
Duaen beh chalin is dil se aur ankho se pani
Fir se jaise roshan ho gyi meri ruthi jindgani
Dabe paaun main us se door bhag aya
Per paas uske apni jindgi bhar ki duaaen chod aya
Door se fir use har din niharta hun
Uski masoom hansi dekh ker apni jindgi sawarta hun….