Ek baar ki baat hai
Sooraj ki wo kiran jhaank rahi thi
Khidki se meri ore
Aur dekh ke jab sehmi wo
To liya tha sahaara uss kursi ka
Jispe rakhe mere kurte ki aasteen
Farsh ko choom rahi thi
Aayi thi siskiyon ki awaaz
Mere aangan se
Pukaar rahi thi wo mujhe
Kuch baatein kehne ke liye
Jo sadiyon se ankahi thi
Sadiyon se ansuni thi
Mere lafzon ke maayne bhi
Badle badle se the
Meri kalam bhi uss din
Kuch udaas thi
Phir bhi mere kai khayaal
Kaagazon pe daudna chaahte the
Dekha tha khwaab mein kabhi
Ki baitha hoon itminaan se
Aur sard raaton mein
Aag ki lapton ke beech
Kisi guftagoo ke bahaane se
Haal-e-dil apna
Use suna raha hoon
Par ye jo khwaabon ki baraat hai
Seher hote hi chhup jaati thi
Baadalon ke shaamiyaane mein
Aur intezaar karti thi wo shab ka
Ki wo waapas aayein
Mujhse roobaroo hone