Ek baar fir uska chehra mujhe yaad aa gaya,
Ek baar fir mai uske bachpane ko yaad karke muskara gaya,
Ek baar fir uske haathon ki mehandi ki khushboo ne mujhe jaga diya,
Ek baar fir wo mere sapno me aa gayi kuch boli,
Mai sun nai paya, samajhne ki koshish ki par samajh nai aaya,
Ek baar fir wo muskarake boli,
Har baat bolni jaruri nai hoti par usko koun samjhae,
Ke bina bole koi baat poori nai hoti,
Ek baar fir wo ek baat adhuri chhod gayi,
Jo honi thi baat poori wo ek adhuri dastan banke reh gayi,
Ek baar fir mujhe uski yaad aa gayi,
Socha wo yahi kahi aas paas h mere,
Par wo sard raaton ki dhundh me kahin dhundhla gayi,
Aaj bhi wo mere sapno me aati h,
Bas pehle bhot hasati thi par aaj bhot rulati h,
Ek baar fir mai sote hue sapne me use dekhne ki koshish karta hun
Par ab sapne to kya neend k liye tarasta hun,
Bas ek umeed si dil me liye baitha hun,har pal uska chehra aankho me rehta h,


Ek baar bas aur ek baar wo jarur wapas aaegi,
Mujhe hasaegi,sote hue mehandi ki khushbu se jagaegi,
Ek baar fir wo mera majak udaegi,
Haste hue kuch nai kahegi par aanho se bhot kuch keh jaegi,


Ek baar fir bas Ek baar fir........

Sign In to know Author